Bartar Qayaas se hai maqaame Abul Hussain
Sidra se poocho rif’ate baame Abul Hussain

Wa rasta paaye bastaye daame Abul Hussain
Aazaad naar se hai Ghulame Abul Hussain

khatte siyah mein Noore Ilahi ki taabishe(n)
Kya subhe noorbaar hai shaame Abul Hussain

Saaqi suna de Sheeshaye Baghdad ki tapak
mehki hai booye gul se mudaame Abul Hussain

Booye kabaabe sokhta aati hai mai-kasho
Chalka sharaabe chisht se jaame Abul Hussain

Gulgoon sahar ko hai sa-hare soze dil se aankh
Sultane Soharward hai naame Abul Hussain

Kursi nasheen hai naqshe muraad unke faiz se
Maulaye Naqshband hai naame Abul Hussain

Jis nakhle paak mein hain chiyalees daaliyaa(n)
Is shaakh un mein se hai banaame Abul Hussain

Masto(n) ko aye Kareem bachaye khumaar se
Ta daur hashr dauraye jaame Abul Hussain

Un ke bhale se laakhon gareebon ka hai bhala
Ya Rab zamaana-baad bakaame Abul Hussain

Mela laga hai shaane Maseeha ki deed hai
Murde jilaa raha hai khiraame Abul Hussain

Sar gashta mehro mah hain par ab tak khula nahi
kis charkh par hai maahe tamaame Abul Hussain

Itna pata mila hai ke yeh charkh chambaree
hai haft paaya zeenaye baame Abul Hussain

Zarre ko mehr, qatre ko dariya kare abhi
gar josh zan ho bakhshishe aame abul Hussain

Yahya ka sadqa waarise iqbaal mand paaye
Sajjaadaye Shuyookhe kiraame Abul Hussain

Inaam lein bahaare jinaa tehniyat likhen
phoole phale tu nakhle maraame Abul Hussain

Allah hum bhi dekh lein Shehzaade ki bahaar
Soonghe gule muraad mashaame Abul Hussain

Aaqa se mere Suthre Miyan ka hua hai naam
Is achche suthre se rahe naame Abul Hussain

Ya Rab woh chaand jo falake ‘izzo jaah par
Har sair mein ho gaam ba gaame Abul Hussain

Aao tumhe hilaale sipahre sharaf dikhayen
Gardan jhukayen bahre salaame Abul Hussain

Qudrat khuda ki hai ke talaatum qanaa(n) uthi
Bahre fanaa se mauje dawaame Abul Hussain

Ya Rab hume bhi chashni us apni yaad ki
jis se hai shakkari(n) labo kaame Abul Hussain

Haan taaleye Raza teri Allah re yawari
Aye bandaye judoode kiraame Abul Hussain

Related

Menu