1. Home
  2. chevron_right
  3. admin
  4. (Page 7)

Arshe Haq he musnade rif’at Rasoolullah ki
Dekhni he Hashr me Izzat Rasoolullah ki

Qabr me lehrayenge tha Hasr chashme noor ke
Jalwah farma hogi jab tal’at Rasoolullah ki

Kaafiro Par Taighe Waala Se Giri Bakre Ghazab
Abr-Aasa Cha Gayi Haibat Rasoolullah Ki

Laa Wa Rabbil Arsh jisko jo mila Unse mila
Bat’ti he Kownain me ne’mat Rasoolullah ki

Wo Jahannum me gaya jo Unse mustaghni huwa
Hai Khalleelullah ko haajat Rasoolullah ki

Sooraj ulte paaw palte chaand ishaare se ho chaak
Andhe Najdi dekhle Qudrat Rasoolullah ki

Tujhse aur Jannat se kya matlab wahabi duur ho
Hum Rasoolullah ke, Jannat Rasoolullah ki

Zikr Roke Fazal Kaate Naqs Ka Juya(n) Rahe
Phir Kahe Mardak Ke Hu Ummat Rasoolullah Ki

Najdi Usne Tujhko Mohlat Di Ki Iss Aalam Me Hai
Kaafiro Murtad Pe Rehmat Rasoolullah Ki

Hum bhikaari Wo Kareem, Unka Khudaa Unse fazoo
Aur naa kehna nahee Aadat Rasoolullah ki

Ahle Sunnat ka he bera paar Ashaabe Rasool
Najm he aur Naav hai Itrat Rasoolullah ki

Khaaq Ho Kar Ishq Me Aaram Se Sona Mila
Jaan Ki AkSeer Hai Ulfat Rasoolullah Ki

Toot jaa-enge gunaahgaro ke fawran qaid-o-bund
Hashr ko khuljaaegi Taaqat Rasoolullah ki

Ya Rabb ik saa’at me dhul jaa-e siyaahkaro ke jurm
Josh par aa jaaye ab Rehmat Rasoolullah ki

Hai Ghule Baaghe Qudus Rukhsaar E Zeba E Huzoor
Sarve Ghulzaar E Qadam Kaamat Rasoolullah Ki

Ae Raza khud Saahibe Quraan hai mud’daahe Huzoor
Tujhse kab mumkin he phir midhat Rasoolullah ki

(Sallallahu alahi wa Sallam)

Ya Ilahi Reham Farma Mustafa Ke Waaste
Ya Rasoolallah Karam Kije Khuda Ke Waaste

Mushkile(n) Hal Kar Shahe Mushkil Kusha Ke Waaste
Kar Balaayen Rad Shahide Karbala Ke Waaste

Sayyide Sajjaad Ke Sadqe Mein Saajid Rakh Mujhe
Ilme Haq De Baaqire Ilme Huda Ke Waaste

Sidqe Saadiq Ka Tasadduq Saadiqul Islam Kar
Be Gazab Raazi Ho Kaazim Aur Raza Ke Waaste

Behre Maa’roofo Saree Maa’roof De Be Khud Saree
Junde Haq Mein Gin Junaide Baa Safaa Ke Waaste

Behre Shibli Shere Haq Duniya Ke Kutton Se Bacha
Ek Ka Rakh Abde Waahid Be Riya Ke Waaste

Bul Farah Ka Sadqa Kar Gham Ko Farah De Husno Saa’d
Bul Hasan Aur Boo Saeede Saa’de Zaa Ke Waaste

Qadri Kar Qadri Rakh Qadriyon Mein Utha
Qadre Abdul Qadire Qudrat Numa Ke Waaste

‘Ahsanallahu-Lahum-Rizqan’ Se De Rizqe Hasan
Bandaye Razzaaq Taajul Asfiya Ke Waaste

Nasr Abee Saaleh Ka Sadqa Saaleho Mansoor Rakh
De Hayaate Dee(n) Muhiyye Jaa(n) Fizaa Ke Waaste

Toore Irfano Uluwwo Hamdo Husna Wa Baha
De Ali Moosa Hasan Ahmed Bahaa Ke Waaste

Behre Ibrahim Mujh Par Naare Gham Gulzaar Kar
Bheek De Data Bhikaari Baadshah Ke Waaste

Khaanaye Dil Ko Ziya De Roo-E-Imaa(n) Ko Jamaal
Shah Ziya Maula Jamaalul Auliya Ke Waaste

De Muhammad Ke Liye Rozi Kar Ahmed Ke Liye
Khwaane Fazlullah Se Hissa Gadaa Ke Waaste

Deeno Dunya Ke Mujhe Barkaat De Barkaat Se
Ishqe Haq De Ishqi Ishqe Intima Ke Waaste

Hubbe Ahle Bait De Aale Muhammad Ke Liye
Kar Shahide Ishq Hamza Peshwa Ke Waaste

Dil Ko Achcha Tan Ko Suthra Jaan Ko Purnoor Kar
Achche Pyare Shamse Dee(n) Badrul Ula Ke Waaste

Do Jahaa(n) Mein Khaadime Aale Rasoolallah Kar
Hazrate Aale Rasoole Muqtada Ke Waaste

Sadqa In Aa’yaa(n) Ka De Che Ain Izz Ilmo Amal
Afwo Irfa Aafiyat Ahmed Raza Ke Waaste

Allah Allah ke Nabi se
Fariyaad hai nafs ki badee se

Din bhar khelon mein khaak udaayi
Laaj aayi na zarro ki hansi se

Shab bhar sone hee se garaz thi
Taaron ne hazaar daant peese

Imaan pe maut behtar O nafs
Teri naapaak zindagi se

O shahad numaaye zahar dar jaam
Gum jaaoon kidhar teri badee se

Gehre pyare purane dilsoz
Guzra main teri dosti se

Tuj se jo uthaaye main ne sadme
Aise na mile kabhi kisi se

Uf re khud kaam be murawwat
Padta hai kaam aadmi se

To ne hi kiya khud se naadim
Tu ne hi kiya khazil Nabi se

Kaise Aaqa ka hukm taala
Hum mar mite teri khud-saree se

Aati na thi jab badee bhi tujh ko
Hum jaante hain tujhe jabhi se

Had ke zaalim sitam ke katthar
Patthar sharmaayen tere jee se

Hum khaak mein mil chuke hain kab ke
Nikla na gubaar tere jee se

Hai zaalim! Main nibahoon tujh se
Allah bachaye us ghadi se

Jo tum ko na jaanta ho Hazrat
Chaalen chaliye us ajnabi se

Allah ke saamne who gun the
Yaaron main kaise muttaqi se

Rehzan ne loot lee kamaayi
Fariyaad hai Khizr Haashmi se

Allah koonye main khud gira hoon
Apni naalish karu(n) tujhi se

Hain pushte panah Gause Aa’zam
Kyun darte ho Raza kisi se

Momin Woh Hai Jo Unki Izzat Pe Mare Dil Se
Ta’zeem Bhi Karta Hai Najdi To Mare Dil Se

Wallah Woh Sun Lenge Fariyad Ko Pahuchenge
Itna Bhi To Ho Koi Jo Ah Kare Dil Se

Bichdi Hai Gali Kaisi Bigdi Hai Bani Kaisi
Pooch Koi Ye Sadma Arman Bhare Dil Se

Kiya Usko Giraye Dahr Jis Par Tu Nazar Rakkhe
Khak Us Ko Utaye Hashr Jo Tere Gire Dil Se

Bahka Hai Kahan Majnoon Le Dali Banon Ki Khak
Dam Bhar Na Kiya Khaima Laila Ne Pare Dil Se

Sone Ko Tapaye Jab Kuch Meel Ho Ya Kuch Mail
Kiya Kam Jahannam Ke Dahre Ko Khare Dil Se

Ata Hai Dare Wala Yoon Zauqe Tawaf Ana
Dil Jan Se Sadqe Ho Sir Gird Fire Dil Se

Aye Abre Karam Fariyad Fariyad Jala Dala
Is Sozishe Gham Ko Hai Zid Mere Hare Dil Se

Dariya Hai Chadha Tera Kitni Hi Udayi Khak
Utrenge Kahan Mujrim Aye Afw Tere Dil Se

Kiya Janen Yame Gham Mein Dil Doob Gaya Kaisa
Kis The Ko Gaye Arman Ab Tak Na Tere Dil Se

Karta To Hai Yad Unki Gaflat Ko Zara Rook
Lillah Raza Dil Se Han Dil Se Are Dil Se

Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare
Bekasi Loot Le Khuda Na Kare

Isme Rouze Ka Sajdah Ho Ki Tawaaf
Hosh Me Jo Na Ho Wo Kya Na Kare

Ye Wahi Hai Ki Baksh Dete Hai
Kaun In Jurmo Par Saza Na Kare

Sab Tabeebo Ne De Diya Hai Jawaab
Aah Eesa Agar Dawaa Na Kare

Dil Kaha Le Chala Haram Se Mujhe
Are Tera Bura Khuda Na Kare

Uzre Ummeed E Afw(a) Gar Na Sune
Ru Siyaah Aur Kya Bahana Kare

Dil Me Roushan Hai Shamm’e Ishq E Huzoor
Kaash Joshe Havas Hawa Na Kare

Hashr Me Hum Bhi Sayr Dekhenge
Munkir Aaj Unse Ilteja Na Kare

Zof Maana Magar Ye Zaalim Dil
Unke Raste Me To Thaka Na Kare

Jab Teri Khu Hai Sabka Jee Khana
Wahi Achha Jo Dil Bura Na Kare

Dil Se Ik Zouk E May Ka Talab Hu
Kaun Kehta Hai Itteqa Na Kare

Le ‘Raza’ Sab Chale Madine Ko
Mai Na Jaun Are Khuda Na Kare

Sabse Aula Wo Aala Hamara Nabi
Sab sey Baala Wo Waala Hamaara Nabi.

Apne Maula Ka Piyara Hamaara Nabi
Dono A’alam Ka Dulha Hamaara Nabi.

Bazme Aakhir Ka Shamae Faraouza Hua
Noor E Awwal Ka Jalwah Hamaara Nabi.

Bujh Gayi Jiske Aage Sabhi Mashaley
Shama’a Woh Le Kar Aaya Hamaara Nabi.

Jiske Talwon Ka Dhovan Hai Aabe Hayaat
Hain Wo Jaane Masiha Hamaara Nabi

Khalq Se Auliyah Auliyah Se Rasool
Aur Rasoolon Se A’ala Hamaara Nabi

Husn Khaata Hain Jinke Namak Ki Qasam
Woh Maleehe Dilaara Hamaara Hamaara Nabi

Zikr Sab Pheeke Jab Tak Na Mazkur Ho
Namakeen Husn Waala Hamaara Nabi

Jiski Do Boond Hain Kausaer O Salsabeel
Hain Wo Rehmat Ka Dariya Hamaara Nabi

Jaise Sab Ka Khuda Aik Hai Waise Hi
Inka Unka Tumhara Hamaara Nabi

Karno Badli Rasoolo Ki Hoti Rahi
Chaand Badli Ka Nikla Hamaara Nabi

Kaun Deeta Hain Dene Ko Muh Chahiye
Deene Waala Hai Sachha Hamaara Nabi

Saare Achhon Me Achha Samajhiye Jise
Hain Us Achhe Se Achha Hamaara Nabi

Kya Khabar Kitne Taare Khile Chup Gaye
Par Na Doobe Na Dooba Hamaara Nabi

Mulke Qaunain Mein Ambiya Taajdaar
Taajdaro Ka Aaqa Hamaara Nabi.

La Makaa Tak Ujalaj Hai Jisko Wo Hain.
Har Makaa Ka Ujala Hamaara Nabi.

Saare Uncho Mein Uncha Samajhiye Jise.
Hai Uss Unche Se uncha Hamaara Nabi.

Sab Chamak Waale Ujhlo Me Chamka Kiye.
Andhe Sheesho Mein Chamka Hamaara Nabi.

Gamzado Ko Raza Mushda Di Je Ke Hain
Be Kasoon Ka Sahara Hamara Nabi.

Ronaq e bazm e jahan hain aashiqan e sokhta
Keh rahi hai shama ki goya zuban e sokhta

Jis ko qurs mohar samjha hai jahan ae mu’emo!
Unn ke khawan jood se hai aik naam e sokhta

Mah e mann yeh nayyar mehshar ki garmi taabke
Aatish e isyaa(n) mein khud jalti hai jaan e sokhta

Barq e angisht nabi chamki thi is par aik baar
Aaj taq hai seena e meh mein nishan e sokhta

Mohar aalam taab jhukta hai piye tasleem roz
Pish e zarraat mazaar baed laan e sokhta

Kuucha e gaisoye janaan se chalay thandhi naseem
Baal o par afshaan hon yarab bulbulaan e sokhta

Behr e haq ae behr e rehmat ik nigah e lutaf baar
Taabkey be aabb tarpae(n) maahiyaan e sokhta

Rokash khurshid mehshar ho tumharay faiz se
Ik sharar e seena e shaedaaiya(n) sokhta

Aatish e gulhaaey ne dil kiye kya kya kabaab
Khizr ki jaa(n) ho jila do maahiyan e sokhta

Aatish glhaye tayyiba par jalanay ke liye
Jaan ke taalib hain piyaray bulbulaan e sokhta

Lutaf barq e jalwa e mairaaj laya wajad mein
Sh’ula jawala saan hai aasman sokhta

Ae raza mazmoon soze dil ki riffat ne kya
Is zamin e sokhta ko aasman sokhta

Kya Hi Zauk Afza Shafa’at Hain Tumhari Wah Wah
Karz Leti Hain Gunah Parhezgari Wah Wah

Khama-E-Qudrat Ka Husn-E-Dastkaari Wah Wah
Kya Hi Tasveer Apne Pyare Ki Sawaari Wah Wah

Ashk Shab Bhar Intezar-E-Afwe Ummat Mein Bahe(n)
Main Fida Chaand Aur Yu Akhtar Shumari Wah Wah

Ungliya(n) Hain Faiz Par Toote Hain Pyase Jhoom Kar
Nadiya(n) Panjab E Rehmat Ki Hain Jaari Wah Wah

Noor Ki Khairaat Lene Daudte Hain Mehre Maah
Uthti Hain Kis Shaan Se Gard Sawaari Wah Wah

Neem Jalwe Ki Na Tab Aaye Qamar Saa To Sahi
Mehar Aur Un Talwo Ki Aaina Daari Wah Wah

Nafs Ye Kya Zulm Hain Jab Dekho Taaza Jurm Hain
Naatwa(n) Ke Sar Par Itni Bojh Bhari Wah Wah

Mujrimo Ko Dhundhti Phirte Hain Rehmat Ki Nigaah
Taaliye Bargashta Teri Saazgaari Wah Wah

Arz Begi Hain Shafa’at Afw Ki Sarkaar Mein
Chat Rahi Hain Mujrimo Ki Fard Saari Wah Wah

Kya Madine Me Saba Aayi Ki Phoolo Me Hain Aaj
Kuch Nayi Buu Bheeni-Bheeni Pyari-Pyari Wah Wah

Khud Rahe Parde Me Aur Aaina Akse Khaas Ka
Bhej Kar Anjaano Se Ki Rahdaari Wah Wah

Is Taraf Rouze Ka Noor Us Samt Mimbar Ki Bahaar
Beechme Jannat Ki Pyari Pyari Kyari Wah Wah

Sadqe Is In’aam Ke Qurbaan Us Ikraam Ke
Ho Rahi Hain Dono Aalam Me Tumhari Wah Wah

Para-E-Dil Bhi Na Nikla dil Se Tohfe Me Raza
Un Sagane Ku Se Inti Jaan Pyari Wah Wah

Name : Commemorating the Noble Birth
Author/Editor :
Translator : Muḥammad Aqib Farid Qadri
Publisher: N/A
Pages : 36
Language : English
Category : Fazail
Read Online : N/A

Name : The Night of Deliverance
Author/Editor :
Translator : Muḥammad Aqib Farid Qadri
Publisher: N/A
Pages : 23
Language : English
Category : Fazail
Read Online : N/A

Name : Ruin And Fire
Author/Editor :
Translator : Muḥammad Aqib Farid Qadri
Publisher: N/A
Pages : 40
Language : English
Category : Aqaid
Read Online : N/A

Name : Hussam ul Furqan
Author/Editor :
Translator : Muḥammad Aqib Farid Qadri
Publisher: N/A
Pages : 34
Language : English
Category : Aqaid
Read Online : N/A

Name : The Light of the Eyes
Author/Editor :
Translator : Muḥammad Aqib Farid Qadri
Publisher: N/A
Pages : 40
Language : English
Category : Aqaid
Read Online : N/A

Name : Refuting The Rejecters
Author/Editor : Alahazrat Imam Ahmed Raza Khan
Translator : Muḥammad Aqib Farid Qadri
Publisher: N/A
Pages : 23
Language : English
Category : Aqaid
Read Online : N/A

Name : The Deaf and the Blind
Author/Editor :
Translator : Muḥammad Aqib Farid Qadri
Publisher: N/A
Pages : 30
Language : English
Category : Fazail
Read Online : N/A

Name : Tehfeez ul Iman
Author/Editor :
Translator : Muḥammad Aqib Farid Qadri
Publisher: N/A
Pages : 54
Language : English
Category : Fazail
Read Online : N/A

Name : Edict of Apostasy on Tahir ul Qadri
Author/Editor : Mufti Shamshad Ahmad Misbahi
Translator : Muḥammad Aqib Farid Qadri
Publisher: N/A
Pages : 10
Language : English
Category : Fazail
Read Online : N/A

Name : Conveying Rewards to the Deceased
Author/Editor :
Translator : Muḥammad Aqib Farid Qadri
Publisher: N/A
Pages : 12
Language : English
Category : Fazail
Read Online : N/A

Menu