Yaad mein jis ki nahi hosh e tan o jaa(n) hum ko
Phir dikha day woh rukh ae mohar faroza(n)! Hum ko
Der se aap mein aana nahi milta hai hamein
Kya hi khud rafta kya jalwa e janaa(n)! Hum ko
Jis tbssm ne gulisitan pay girayi bijli
Phir dikha day woh adaye gul e khanda(n) hum ko
Kash aaweza e qandil e madinah ho woh dil
Jis ki soozish ne kya rashke cheragha(n) hum ko
Arsh jis khoobi raftaar ka pamaal huwa
Do qadam chal ke dikha saro kharama(n)! Hum ko
Shama tayyiba se mein parwana rahon kab taq door
Haan jala day sharer aatish panha(n)! Hum ko
Khauf hai sama kharashi sagh tayyiba ka
Warna kya yaad nahi naala o afgha(n) hum ko
Khaak ho jaien dar e pak pay hasrat mِt jaye
Yaa ilahi nah phira be sir o sama(n) hum ko
Khaar sehraye madinah nah nikal jaye kahin
Wehshat dil nah phira koh o byaba(n) hum ko
Tang aeye hain do aalam tri betabi se
Chain lainay day tapay seena e sozaa(n) hum ko
Paao(n) ghirbaa(n) hue raah e madinah nah mili
Ae junoo(n)! Ab to miley rukhsat zanda(n) hum ko
Mere har zakham jigar se yeh nikalti hai sada
Ae malih arabi! Kar day namakdaa(n) hum ko
Sair gulshan se asiiraan qafas ko kya kaam
Nah day takleef chaman bulbul e bastaa(n) hum ko
Jab se aankhon mein samai hai madinah ki bahar
Nazar atay hain khazaa deedaa gulisita(n) hum ko
Gir lab pak se iqraar shafaat ho jaye
Yun nah be chain rakhay joshish e isyaa(n) hum ko
Nayyar hashar ne ik aag laga rakhi hai !
Taez hai dhoop miley saaya e dama(n) hum ko
Reham farmayie ya shah ke ab taab nahi
Taabkey khoon rulay gham e hijra(n) hum ko
Chaak daman mein nah thak jayoo ae dast e junoo(n)
Purze karna hai abhi jaib o gireyba(n) hum ko
Parda uss chehra e anwar se uttha kar ik baar
Apna aaina bana ae meh taba(n) hum ko
Ae raza wasf rukh e pak sunanay ke liye
Nazar dete hain chaman, murgh ghazal khwa(n) hum ko