Ya Ilaahi Har Jaga Teri Ataa Ka Saath Ho
Jub Pade Mushkil Sha’e Mushkil Kusha Ka Saath Ho
Ya Ilaahi Bhool Jawu Naza’Ki Takleef Ko
Shaadiye deedare Husne Mustafa Ka Saath Ho
Ya Ilaahi Gor Teera Ki Jab Aayeh Sakht Raat
Unke Pyaare Moonh Ki Subha Jaa Fiza Ka Saath Ho
Ya Ilaahi Jub Padre Mahshar Me Shore Daar-o-Geer
Amn Dene Waale Pyaare Peshwa Ka Saath Ho
Ya Ilaahi Jub Zabaane Baahar Aayey Pyaas Se
Saahib-e-Kauthar Sha’e Jood-o-ataa Ka Saath Ho
Ya Ilaahi Sard-e-Mehri Par Ho Jab Khurshid-e-Hashr
Sayyad-e-Besaaya Ke Zille-e-Liwaa Ka Saath Ho
Ya Ilaah Garmi-e-Mahshar Seh Jub Bharke Badan
Daaman-e-Mahboob Ki Thandi Hawaa Ka Saath Ho
Ya Ilaahi Nama-e-A’maal Jub Khulne Lage
Aib-e-Pooshe Khalq Sat’taare Khata Ka Saath Ho
Ya Ilaahi Jub Bahe Aankhe Hisaab-e-Jurm Me
Un Tabassum rez-e-honto ki Dua ka Saath Ho
Ya Ilaahi Jub Hisaabe Khanda-e-Bejaa Rulaaye
Chashme Giryaane Shafi-e-Murtaja Ka Saath Ho
Ya Ilaahi Rang Laayi Jab Meri Be Haaqiyah
Unki Neechi Neechi Nazro Ki Hayaa Ka Saatho Ho
Ya Ilaahi Jub Chalo Tareekh Raahe Pul Siraate
Aftaab-e-Haashmi Noorul Huda Ka Saath Ho
Ya Ilaahi Jub Sare Shamsheer Par Chalna Pare
Rabbe Sallim Kehne Waale Ghamzudah Ka Saath Ho
Ya Ilaahi Jo Dua’e Nek Hum Tujhe Se Kare
Qudsiyo Ke Lub Se Aameen Rab’bana Ka Saath Ho
Ya Ilaahi Jub Raza Khaab-e-Giraa Se Sar Uthaa’e
Daulat-e-Bedaar Ishk-e-Mustafa Ka Saath Ho
Ya Ilaahi Le Chale Jub Dafan Karne Qabar Me
Ghause-e-Azam Peshwa’e Awliya Ka Saath Ho