Raah-e-irfan sey jo hum naa deedah ru mahram nahin
Mustafa hay masnad-e-irshad par kuch gham nahin
Hoon musalman garchey naqis hi sahi aay kamilo
Mahiyat pani ki akhir yam sey nam mein kam nahin
Ghunchey maa awha key jo chatkey dana key bagh mein
Bulbul-e-sidrah tak un ki bu sey bhi mahram nahin
Us mein zam-zam hay key tham-tham is mein jam-jam hay key beesh
Kasrat-e-kawsar mein zam-zam kee tarah kam-kam nahin
Panjah-e-mihr-e-arab hay jis sey darya bah gaye
Chashmah-e-khurshid mein to naam ko bhi nam nahin
Aysa ummi kis liye minnat kash-e-ustaad ho
Kya kifaayat is ko iqra’a rabbuka’l akram nahin
Aws mihr-e-hashr par par jaye pyaso to sahee
Us gul-e-khandan ka rona giryah-e-shabnam nahin
Hay unhin key dam qadam ki bagh-e-aalam mein bahar
Woh na thay aalam na tha gar woh na hon aalam nahin
Saayah-e-diwar-o-khaak-e-dar ho Yaa Rab aur RAZA
Khwahish-e-dayhim-e-qaysar shawq-e-takht-e-jam nahin