Naimatain Banta Jis Simt Woh Zeeshaan Gaya,
Saath Hi Munshiaey Rehmat Ka Qalam Daan Gaya

Le Khabar Jald Ke Ghairon Ki Taraf Dhiyaan Gaya
Mere Maula Mere Aqa Tere Qurbaan Gaya

Dil Hai Woh Dil Jo Teri Yaad Se Ma’moor Raha
Sar Hai Woh Sar Jo Tere Qadmon Pe Qurbaan Gaya

Unhein Jana Unhein Mana Na Rakhha Ghair Se Kaam
Lillah Al Hamd Main Duniya Se Musalmaan Gaya

Jaan O Dil Hosh Wa Khirad Sab To Madine Pahonche
Tum Nahi Chalte Raza Sara To Samaan Gaya

Aah Woh Aankh Ke Nakaame Tamanna Hi Rahi
Hai Woh Dil Jo Tere Dar Se Pur Arman Gaya

Aur Tum Par Mere Aqa Ki Ineat Na Sahi
Najdiyo! Kalmah Padhane Ka Bhi Ehsaan Gaya

Aaj Le Unki Panah Aaj Madad Maang Unse
Phir Na Maanege Qeamat Mein Agar Maan Gaya

Uff Re Munkar Yeh Badha Joshe Ta’assub Akhir
Bheed Me Haath Se Kam Bakht Ke Imaan Gaya

Related

Menu