Na ‘arsh e ayman na inni zaahibun mein meyhmaani hay
Na lutf e udun yaa Ahmad naseeb e lan taraani hay
Naseeb e dostaan gar unkey dar par maut aani hay
Khuda yun hi karein phir to humesha zindgaani hay
Ussi dar par tarapatey hain machltey hain bilaktey hain
Uttha jaata nahin kya khoob apni naa tawaani hay
Har eik deewaro dar par mehr ne ki hay jabeen saayi
Nigaar e masjid e aqdas mein kab sone ka paani hay
Terey mangtaa ki khaamoshi shafaa’at khwaah hay us ki
Zabaan e be zabaani tarjumaan e khasta jani hay
Khule kya raaz e ehboob o Muhib mastaane ghaflat par
Sharaab e qad ra’ yal Haq zayb e jaam e man ra aani hay
Jahaan ki khaakroobi ne chaman aaraa kiya tujh ko
Saba hum ne bhi un galiyo ki kuch din khaak chhani hay
Shahaa kya zaat teri Haq numaa hay fard e imkaan mein
Keh tujh sey koi awwal hay na tera koi saani hay
Kahaan us ko shak e jaan e jinaan mein zar ki naqaashi
Iram key taayire rang e pareeda ki nishaani hay
Ziyabun fee thiyabin lab pe kalma dil mein gustakhi
Salaam Islam mulhid ko keh tasleem e zabani hay
Ye aksar saath unke shaana o miswaak ka rehna
Bataataa hay ki dil reshon pein zaaid mehrbaani hay
Isi Sarkaar sey dunia o deen milte hay saail ko
Yahi darbaare ‘aali kanz e aamal o amaani hay
Duroodein soorat e baala moohit e maah e Taybah hein
Barasta ummat e ‘aasi pen ab rahmat ka paani hay
Ta’aala Allah istighna terey dar key gadaaon ka
Keh unko aaar far o shaukat e saahib Qur’ani hay
Woh sar garme shafaa’at hay araq afshaan hay peshani
Karam ka itr sandal ki zameen rehmat ki ghaani hay