Kya Hi Zauk Afza Shafa’at Hain Tumhari Wah Wah
Karz Leti Hain Gunah Parhezgari Wah Wah
Khama-E-Qudrat Ka Husn-E-Dastkaari Wah Wah
Kya Hi Tasveer Apne Pyare Ki Sawaari Wah Wah
Ashk Shab Bhar Intezar-E-Afwe Ummat Mein Bahe(n)
Main Fida Chaand Aur Yu Akhtar Shumari Wah Wah
Ungliya(n) Hain Faiz Par Toote Hain Pyase Jhoom Kar
Nadiya(n) Panjab E Rehmat Ki Hain Jaari Wah Wah
Noor Ki Khairaat Lene Daudte Hain Mehre Maah
Uthti Hain Kis Shaan Se Gard Sawaari Wah Wah
Neem Jalwe Ki Na Tab Aaye Qamar Saa To Sahi
Mehar Aur Un Talwo Ki Aaina Daari Wah Wah
Nafs Ye Kya Zulm Hain Jab Dekho Taaza Jurm Hain
Naatwa(n) Ke Sar Par Itni Bojh Bhari Wah Wah
Mujrimo Ko Dhundhti Phirte Hain Rehmat Ki Nigaah
Taaliye Bargashta Teri Saazgaari Wah Wah
Arz Begi Hain Shafa’at Afw Ki Sarkaar Mein
Chat Rahi Hain Mujrimo Ki Fard Saari Wah Wah
Kya Madine Me Saba Aayi Ki Phoolo Me Hain Aaj
Kuch Nayi Buu Bheeni-Bheeni Pyari-Pyari Wah Wah
Khud Rahe Parde Me Aur Aaina Akse Khaas Ka
Bhej Kar Anjaano Se Ki Rahdaari Wah Wah
Is Taraf Rouze Ka Noor Us Samt Mimbar Ki Bahaar
Beechme Jannat Ki Pyari Pyari Kyari Wah Wah
Sadqe Is In’aam Ke Qurbaan Us Ikraam Ke
Ho Rahi Hain Dono Aalam Me Tumhari Wah Wah
Para-E-Dil Bhi Na Nikla dil Se Tohfe Me Raza
Un Sagane Ku Se Inti Jaan Pyari Wah Wah