Kiske Jalway Ki Jhalak He Ye Ujala Kya He
Har Taraf Deed-e -Herat Zada Tak Ta Kya He
Mang Man Manti Munh Mangi Murade Le Ga
Na Yaha Na He Na Mangta Se Ye Kahna Kya He
Hum He Unke Wo He Tere To Huwe Hum Tere
Is Se Barh kar Teri Samt Aur Wasila Kya He
Un Ki Ummat Me Banaya Unhe Rahmat Bheja
Yu Na Farma Ke Tera Reham Me Dawa Kya He
Sadqa Pyare Ki Haya Ka, Na La Mujhse Hisab
Baqsh Be Puche Lajaye Ko Laja Na Kya He
Zahid Un Ka Mai Gunahgaar Wo Mere Shafey
Itni Nisbat Mujhe Kya Kam He Tu Samjha Kya He
Bebasi Ho Jo Mujhe Pursishe Aamal Ke Waqt
Dosto Kya Kahu Us Waqt Tamanna Kya He
Kash Fariyad Meri Sunkar Ye Farmaye Huzoor
Haan Koi Dekho Ye Kya Shor He Ghogha Kya He
Kon Aafat Zada He Kis Pe Bala Tooti He
Kis Musibat Me Giraftar He Sadma Kya He
Kis Se Kahta He Ke Lillah Khabar Lijiye Meri
Kion He Betab Ye Be Cheni Ka Rona Kya He
Is Ki Becheni Se He Khatir-E-Aqdas Pe Malal
Be Kasi Kaisi He Pucho Koi Guzra Kya He
Yu Malaik Kare Maaroz Ke Aqa Ek Mujrim He
Is Se Pursish He Bata Tune Kya Kya Kya He
Samna Qahar Ka He Daftar-E-Aamal He Pesh
Dar Raha He Ke Khuda Hukm Sunata Kya He
Aap Se Karta He Fariyad Ke Ya Sha-E-Rusul
Banda Bekas He Shaha Reham Me Waqfa Kya He
Ab Koi Dam Me Giraftare Bala Hota Hun
Aap Aajain Tu Kya Kouf He Khatka Kya He
Sun Ke Ye Aarz Meri Behre Karam Josh Me Aai
Yun Malaik Ko Ho Irshad Teharna Kya He
Kis Ko Tum Mo’ride Aafat Kya Chahte Ho
Hum Bhi To Aake Zara Dekhein Tamasha Kya He
Un Ki Aawaz Pe Kar Uthu Mai Be Sakhta Shour
Aur Tadap Kar Kahu Ab Mujhe Parwa Kya He
Lo Wo Aaya Mera Haami…Mera Gham Khaar-E-Umam
Aagayi Jaan Tane Be Jaan Me Ye Aana Kya He
Phir Mujhe Daman-E-Aqdas Me Chupalein Sarwar
Aur Farmain Hato Is Pe Taqaza Kya He
Banda Aazad Shuda He Ye Hamare Dar Ka
Kaisa Lete Ho Hisab Is Pe Tumhara Kya He
Chor Kar Mujh Ko Farishte Kahe Mahkoom Hein Hum
Hukm Wala Ki Na Taalim Ho Zahra Kya He
Ye Sama Dekh Ke Mehshar Me Uthe Shour Ke Wah!!
Chashm-E-Baddur Ho Kya Shaan He Rutba Kya He
Sadqe is Raham Ke Is Saya’e Daman Pe Nisar
Apne Bande Ko Musibat Se Bachaya Kya He
Aai Raza Jan-E-Ana Dil Tere Nagmo Ke Nisar
Bul Bule Baghe-E-Medina Tera Kehna Kya He.