Hay lab-e-Isaa sey jaan bakhshi niraali haath mein
Sang reze paate hain sheerin maqaali haath mein

Be nawaon ki nigaahein hain kahaan tehreer-e-dast
Reh gayien jo paa key jood-e-laa yazaali haath mein

Kya lakiron mein yadullah khat sar-o-aasa likhaa
Raah yoon is raaz likhne ki nikaali haath mein

Jood shahe Kausar apne pyason ka joya hay aap
Kya ajab ur kar jo aap aaye piyaali haath mein

Abr nisyaan momino ko taigh uriyaan kufr par
Jam’a hain shaan-e-jamaali-o-jalaali haath mein

Maalik-e-kaunain hain go pass kuch rakhte nahin
Do jahan ki nematein hain un key khaali haath mein

Saaya afgan sar pe ho parcham Ilaahi jhoom kar
Jab liwaul-hamd le ummat ka waali haath mein

Har khate kaf hay yahaan aay dasht-e-baizaaye kaleem
Mojzan daryaae noor-e-be misaali haath mein

Wo giraan sangi qadr-e-mas wo arzaani jood
Nauiya badla kiye sang walaali haath mein

Dastageere har do aalam kar diya sibtain ko
Aay main qurbaan jaan-e-jaan angusht kya lee haath mein

Aah wo aalam key aankhein band aur lab par durood
Waqf sang-e-dar jabeen rauza ki jaali haath mein

Jis ne bai’at ki bahaar-e-hassan par qurbaan raha
Hay lakeerein naqsh-e-taskheer-e-jamaali haath mein

Kaash ho jaaun lab-e-Kausar mein yoon waa rafta hosh
Le kar us jaan-e-karam ka zel aali haath mein

Aankh mehwe jalwa-e-deedaar-e-dil pur josh-e-wajd
Lab pe shukr-e-bakhshish saaqi pyaali haath mein

Hashr mein kya kya mazey waaraftagi key loon RAZA
Laut jaaun paa key wo daamane aali haath mein

Related

Menu