Hajiyo Aao Shahenshah ka Roza Dekho
Kaba to dekh chuke Kabe ka Kaba dekho

Rukn e Shami se miti wah’shate shame ghurbat
Ab Madine ko chalo subhe dil aaraa dekho

Aabe Zam-Zam to piyaa khub bujha-e piyase
Aao jude Shahe Kowsar ka bi darya dekho

Zayre Mizaab mile khoob Karamke cheente
Abre Rahmat ka yaha zowr barasnaa dekho

Dhum dekhi hai dare kaba pe betaabo ki
unke mushtako me hasrat ka tadapna dekho

misle parwana phiri karte the jis sham’a ke gird
apni us sham’a ko parwana yaha ka dekho

Khub ankho se lagaya he Gilaafe Kaba
Qasre Mahbub ke parde ka bhi jalwa dekho

Wan mutiyo ka jigar khauf se pani paya
yan siyahkaro ka daman pe machalna dekho

Awwali khana e haq ki to ziyaye dekhi
aakhri bait e nabi ka bhi tajalla dekho

aymane tur ka tha rukne yamani me farog
shola e tur yaha anjuman-ara dekho

mehre madar ka maza deti hai aagosh e hateem
jin pe maa bap fida yan karam unka dekho

Arz E Haajat Me Raha Ka’aba Kafeel E Injaah
Aao Ab Dad-Rasi E Shahe Taibah Dekho

Dho chuka zulmate dil bosa-e Sunge Aswad
Khaak bosi-e-Madina ka bhi Rutba dekho

Kar chuki rif’ate kaba pe nazar par-vaze
topi ab tham ke khaq e dar e wala dekho

be-niyazi se waha kapti payi ta’at
joshe rehmat pe yaha naz gunah ka dekho

Juma E Makka Tha Ird Ahle Ibadat Ke Liye
Mujrimo! Aao Yaha Ird E Doshamba Dekho

Multazim se to gale lag ke nikale armaan
adab o shouq ka yaha baham ulajhna dekho

Khoob mas’a me b-ummide safa daud liye
rahe janan ki safaka bhi tamasha dekho

Raqs E Bismil Ki Bahare To Mina Me Dekhi
Dil E Khu-Naba Fisha Ka Bhi Tadapna Dekho

Zinate Kaba me tha lakh arooso ka banaw
Jalwa farma yaha kownain ka doolha dekho

Gowr se sun to Raza Kaaba se aati he sadaa
Meri ankho se mere Piyare ka Roza dekho

Related

Menu