Hai kalaam e Ilahi me Shams-o-Duha
Tere chehre Noore Faza ki qasam
Qasam e Shab e taar me raaz yeh tha,
ke Habeeb ki zulfe duta ki qasam
Tere Khulq ko HAQ ne azeem kaha,
Teri khilq ko HAQ ne jameel kiya
Koee Tujh sa huwa hai na hoga Shaha,
Tere Khaliqe husn o ada ki qasam
Woh Khuda ne hai martaba tujh ko diya,
na kisi ko mile na kisi ko mila
Ke Kalaam e majeed ne khaee Shaha,
Tere shehro kalamo baqa ki qasam
Tera masnade naaz hai Arshe baree,
Tera mehrame raaz hai rooh e ameen
Tu hi Sarware har do jahaan hai shaha,
Tera misl nahi hai Khuda ki qasam
Yehi ‘arz hai khaliq e Ard o sama,
Woh Rasool hai Tera, mai bandah Tera
Mujhe unki jawaar me day woh jagah,
ke hai Khuld ko jiski safa ki qasam
Tu hi bandaun pa karta hai lutf o ‘Ata,
Tujhi pe bharosa hai Tujhi se dua
Mujhe Jalwah e Pak Rasool dikha,
Tujhe apne hi izz o ‘Ala ki qasam
Mere gar chay gunah hai had se siwa,
magar Un se ummed hai Tujh se rija
Tu Raheem hai Unka Karam hai,
gawah woh Kareem hai Teri ‘Ata ki qasam
Yehi kehti hai bulbule baagh e jina,
ke Raza ki tarha koee sehre bayaan
Nahi hind me wasif shahe huda,
mujhe shaukhe tabae Raza ki qasam