Chamane Taiba mein sumbul jo sawaare gesu
Hoor badh kar shikane naaz pe waare gesu
Ki jo baalon se tere Rauze ki jaaroob kashi
Shab ko shabnam ne tabarruk ko hain dhaare gesu
Hum siyah kaaron pe Ya Rab tapishe mahshar mein
Saaya afgan hon tere pyare ke pyare gesu
Charche hooron mein hain dekho to zara baale burraq
Sumbule khuld ke qurban utare gesu
Aakhire Hajj ghame ummat mein paresha(n) ho kar
Teerah bakhton ki shafa’at ko sidhare gesu
Gosh tak sunte the fariyad ab aaye taa dosh
Ki bane khana badoshon ko sahare gesu
Sukhe dhano(n) pe humare bhi karam ho jaaye
Chaye rehmat ki ghata ban ke tumhare gesu
Ka’baye Jaa(n) ko pinhaya hai gilafe mushkee(n)
Udh ke aaye hain jo abr pe tumhare gesu
Silsila paa ke shafa’at ka jhuke padte hain
Sajdaye shukr ke karte hain ishare gesu
Mushk boo koocha ye kis phool ka jhada un se
Hooriyo ambare saara huye saare gesu
Dekho Qur’an me shabe Qadr hai ta matlaye fajr
Ya’ni nazdeek hain aariz ke woh pyare gesu
Bheeni khushboo se mahak jaati hain galiya(a) wallah
Kaise phoolo mein basaye hain tumhare gesu
Shaane rehmat hai ki shaana na juda ho dam bhar
Seena chaakon pe kuch is darja hain pyare gesu
Shaana hai panjaye qudrat tere baalon ke liye
Kaise haathon ne shaha tere saware gesu
Uhade paak ki choti se ulajh le shab bhar
Subah hone do shabe eid ne haare gesu
Muzda ho qibla se ghanghor ghatayen umdee
Abroo(on) par woh jhuke jhoom ke baare gesu
Taare sheerazaye majmuaye kaunain hain yeh
Haal khul jaaye jo ik dum hon kanare gesu
Tel ki boonde tapakti nahi baalon se Raza
Subhe aariz pe lutate hain sitare gesu