Ariz-E-Shams-O-Qamar Se Bhi Hain Anwar Aeriyan
Arsh Ki Ankhon Ke Tare Hain Woh Khushtar Aeriyan

Ja Baja Partau Figan Hain Asman Par Aeriyan
Din Ko Hain Khursheed Shab Ko Maho Akhtar Aeriyan

Najme Gardoon To Nazar Ate Hain Chote Aur Woh Pau
Arsh Par Phir Kyun Na Hon Mahsoos Lagar Aeriyan

Dab Ke Zere Pa Na Gunjaish Samane Ko Rahi
Ban Gaya Jalwa Kafe Pa Ka Ubhar Ka Aeriyan

Unka Mangta Pau Se Thukra De Woh Duniya Ka Taj
Jis Ki Khatir Mar Gaye Mun’am Agad Kar Aeriyan

Do Qamar, Do Panjaye Khur, Do Sitare, Dus Hilal
Unke Talwe, Panje, Nakhun, Paye Athar Aeriyan

Haye Us Patthar Se Us Seene Ki Qismat Fodiye
Be Takalluf Jis Ke Dil Mein Yun Karen Ghar Aeriyan

Taje Roohul Quds Ke Moti Jise Sajda Karen
Rakhti Hain Wallah Woh Pakeeza Gohar Aeriyan

Ek Thokar Me Uhud Ka Zalzala Jata Raha
Rakhti Hain Kitna Waqar Allahu Akbar Aeriyan

Charkh Par Chadte Hi Chandi Mein Siyahi A Gayi
Kar Chuki Hai Badr Ko Taksal Bahar Aeriyan

Aye “Raza” Toofane Mehshar Ke Talatum Se Na Dar
Shad Ho! Hain Kashtiye Ummat Ko Langar Aeriyan.

Related

Menu