Andheri Raat Hai Gham Ki Ghata Isyaan Ki Kaali Hai
Dile bekas ka is aafat mein Aaqa tu hi waali hai

Na ho maayoos aati hai sada gore ghareeba(n) se
Nabi ummat ka Haami hai Khuda bando(n) ka waali hai

Utarte chaand dhalti chaandni jo ho sake kar le
Andhera paakh aata hai yeh do din ki ujaali hai

Are yeh bhediyon ka ban hai aur shaam aagayi sar par
kahaan soya musaafir haaye kitna laa ubaali hai

Andhera ghar, akeli jaan, dam ghut-ta, dil uktaataa
Khuda ko yaad kar pyaare woh saa’at aane waali hai

Zamee(n) tapti, kateeli raah, bhaari bojh, ghaail paau(n)
musibat jhelne waale tera Allah waali hai

Na chaunka din hai dhalne par teri manzil hui khoti
are o jaan wale neend ye kab ki nikaali hai

Raza manzil to jaisi hai woh ik main kya sabhi ko hai
tum is ko rote ho yeh to kaha yaa(n) haath khaali hai

Related

Menu