Allah Allah ke Nabi se
Fariyaad hai nafs ki badee se
Din bhar khelon mein khaak udaayi
Laaj aayi na zarro ki hansi se
Shab bhar sone hee se garaz thi
Taaron ne hazaar daant peese
Imaan pe maut behtar O nafs
Teri naapaak zindagi se
O shahad numaaye zahar dar jaam
Gum jaaoon kidhar teri badee se
Gehre pyare purane dilsoz
Guzra main teri dosti se
Tuj se jo uthaaye main ne sadme
Aise na mile kabhi kisi se
Uf re khud kaam be murawwat
Padta hai kaam aadmi se
To ne hi kiya khud se naadim
Tu ne hi kiya khazil Nabi se
Kaise Aaqa ka hukm taala
Hum mar mite teri khud-saree se
Aati na thi jab badee bhi tujh ko
Hum jaante hain tujhe jabhi se
Had ke zaalim sitam ke katthar
Patthar sharmaayen tere jee se
Hum khaak mein mil chuke hain kab ke
Nikla na gubaar tere jee se
Hai zaalim! Main nibahoon tujh se
Allah bachaye us ghadi se
Jo tum ko na jaanta ho Hazrat
Chaalen chaliye us ajnabi se
Allah ke saamne who gun the
Yaaron main kaise muttaqi se
Rehzan ne loot lee kamaayi
Fariyaad hai Khizr Haashmi se
Allah koonye main khud gira hoon
Apni naalish karu(n) tujhi se
Hain pushte panah Gause Aa’zam
Kyun darte ho Raza kisi se