Hadaiq e Bakhshish

Nazar Ek Chaman Se Do Chaar Hai

Nazar Ek Chaman Se Do Chaar Hai Na Chaman-Chaman Bhi Nisaar Hai
‘Ajab Us Ke Gul Ki Bahaar Hai Ke Bahaar Bulbul e Zaar Hai

Na Dil e Bashar Hee Figaar Hai Ke Malak Bhi Us Ka Shikaar Hai
Ye Jahaañ Ke Hazhdah Hazaar Hai Jisay Dekho Us Ka Hazaar Hai

Nahiñ Sar Ke Sajda Kunaañ Na Ho Na Zubaañ Ke Zamzamah Khwaañ Na Ho
Na Wo Dil Ke Us Pe Tapaañ Na Ho Na Wo Seena Jis Ko Qaraar Hai

Wo Hai Bheeni-Bheeni Wahaañ Mahak Ke Basa Hai ‘Arsh Se Farsh Tak
Wo Hai Pyaari-Pyaari Wahaañ Chamak Ke Wahaañ Ki Shab Bhi Nahaar Hai

Ko-ee Awr Phool Kahaañ Khile Na Jagah Hai Joshish e Husn Se
Na Bahaar Awr Pe Rukh Kare Ke Jhapak Palak Ki To Khaar Hai

Ye Saman Ye Sosan o Yaasman Ye Banafsha Sumbul o Nastaran
Gul o Sarw o Laalah Bhara Chaman Wohi Aik Jalwa Hazaar Hai

Ye Saba Sanak Wo Kali Chatak Ye Zabaañ Chehak Lab e Joo Jhalak
Ye Mahak Jhalak Ye Chamak Damak Sab Usi Ke Dam Ki Bahaar Hai

Wohi Jalwa Shehr Ba-Shehr Hai Wohi Asl e ‘Aalam o Dahr Hai
Wohi Bahr Hai Wohi Lahr Hai Wohi Paat Hai Wohi Dhaar Hai

Wo Na Tha To Baagh Me Kuch Na Tha Wo Na Ho To Baagh Ho Sab Fana
Wo Hai Jaan, Jaan Se Hai Baqa, Wohi Bun Hai Bun Se Hee Baar Hai

Ye Adab, Ke Bulbul e Be-Nawa Kabhi Khul Ke Kar Na Sakay Nawa
Na Saba Ko Tez Rawish Rawa Na Ch’halakti Nahroñ Ki Dhaar Hai

Ba-Adab Jhuka Lo Sar e Wila, Ke Maiñ Naam Luñ Gul o Baagh Ka
Gul e Tar Muhammad e Mustafa Chaman Un Ka Paak Diyaar Hai

Wohi Aankh Un Ka Jo Munh Takay Wohi Lab Ke Mahw Hoñ Na’at Ke
Wohi Sar Jo Un Ke Liye Jhuke Wohi Dil Jo Un Pe Nisaar Hai

Ye Kisi Ka Husn Hai Jalwagar Ke Tapaañ Haiñ Khooboñ Ke Dil Jigar
Nahiñ Chaak Jayb e Gul e Sahar Ke Qamar Bhi Seena Fagaar Hai

Wohi Nazr e Shah Me Zar e Neyko Jo Ho Un Ke ‘Ishq Me Zard Roo
Gul e Khuld Us Se Ho Rang Joo Ye Khazaañ Wo Taaza Bahaar Hai

Jisay Teri Saff e Ni’aal Se Milay Do Niwaal e Nawaal Se
Wo Bana Ke Us Ke Ugaal Se Bhari Saltanat Ka Udhaar Hai

Wo Ut’theñ Chamak Ke Tajal’liyaañ Ke Mit’a Deñ Sab Ki Ta’alliyaan
Dil o Jaan Ko Bakhsheñ Tasal’liyaañ Tera Noor Baarid o Haar Hai

Rusul o Malak Pe Durood Ho Wohi Jaane Un Ke Shumaar Ko
Magar Aik Aisa Dikha To Do Jo Shafee’ e Roz e Shumaar Hai

Na Hijaab Charkh o Maseeh Par Na Kaleem o Toor Nihaañ Magar
Jo Gaya Hai ‘Arsh Se Bhi Udhar Wo ‘Arab Ka Naaqah Sawaar Hai

Wo Teri Tajalli e Dil Nasheeñ Ke Jhalak Rahe Haiñ Falak Zameeñ
Tere Sadqe Mere Mah e Mubeeñ Meri Raat Kyuñ Abhi Taar Hai

Meri Zulmateñ Haiñ Sitam Magar Tera Mah Na Mahr Ke Mahr Gar
Agar Aik Cheent Pare Idhar Shab e Daaj Abhi To Nahaar Hai

Gunah e RAZA Ka Hisaab Kya Wo Agar Che Laakhoñ Se Haiñ Siwa
Magar Ay ‘Afu Tere ‘Afw Ka Na Hisaab Hai Na Shumaar Hai

Tere Deen e Paak Ki Wo Zia Ke Chamak Ut’thi Rah e Istafa
Jo Na Maane Aap Saqar Gaya Kahiñ Noor Hai Kahiñ Naar Hai

Ko-ee Jaan Bas Ke Mahak Rahi Kisi Dil Me Us Se Khatak Rahi
Nahiñ Us Ke Jalwe Me Yak Rahi Kahiñ Phool Hai Kahiñ Khaar Hai

Wo Jisay Wahabiya Ne Diya Hai Laqab Shaheed o Zabeeh Ka
Wo Shaheed Laila e Najd Tha Wo Zabeeh e Taigh e Khiyaar Hai

Ye Hai Deeñ Ki Taqwiyat Us Ke Ghar Ye Hai Mustaqeem Siraat e Shar
Jo Shaqi Ke Dil Me Hai Gaaw-Khar To Zabaañ Pe Choorha Chamaar Hai

Wo Habeeb Pyaara To Umr Bhar Kare Faiz o Jood Hee Sar Basar
Aray Tujh Ko Khaaye Tap e Saqar Tere Dil Me Kis Se Bukhaar Hai

Wo RAZA Ke Neze Ki Maar Hai Ke ‘Adu Ke Seena Me Ghaar Hai
Kisay Chaarah Jo-ee Ka Waar Hai Ke Ye Waar-Waar Se Paar Hai

Views: 7
keyboard_arrow_up