Hadaiq e Bakhshish

Milk e Khaas e Kibriya Ho

Milk e Khaas e Kibriya Ho
Maalik e Har Ma-Siwa Ho

Ko-ee Kya Jaane Ke Kya Ho
‘Aql e ‘Aalam Se Wara Ho

Kanz e Maktoom e Azal Me
Durr e Maknoon e Khuda Ho

Sab Se Aw’wal Sab Se Aakhir
Ibtida Ho Intiha Ho

Thay Waseele Sab Nabi Tum
Asl e Maqsood e Huda Ho

Paak Karne Ko Wudhu Thay
Tum Namaaz e Jaañ-Fiza Ho

Sab Bishaarat Ki Azaañ Thay
Tum Azaañ Ka Mud’da’a Ho

Sab Tumhaari Hee Khabar Thay
Tum Mu-akh’khar Mubtada Ho

Qurb e Haq Ki Manzileñ Thay
Tum Safar Ka Muntaha Ho

Qabl e Zikr Idhmaar Kya Jab
Rutbah Saabiq Aap Ka Ho

Toor e Moosa Charkh e Esa
Kya Musaawi e Dana Ho

Sab Jihat Ke Daa’ire Me
Shash Jihat Se Tum Wara Ho

Sab Makaañ Tum Laa Makaañ Me
Tan Haiñ Tum Jaan e Safa Ho

Sab Tumhaare Dar Ke Raste
Aik Tum Raah e Khuda Ho

Sab Tumhaare Aage Shaaf’e
Tum Huzoor e Kibriya Ho

Sab Ki Hai Tum Tak Rasa-ee
Baargaah Tak Tum Rasa Ho

Wo Kalas Raudhe Ka Chamka
Sar Jhukaawo Kaj Kula Ho

Wo Dar e Daulat Pe Aaye
Jholiyaañ Phaylaawo Shaaho

Views: 12
keyboard_arrow_up