Ya shafi e umam lillah kar do karam
Rab salaamat rakhe tera sohna haraam
Ham ghulamo ka rakhna khudara bharaam
Rab salaamat rakhe tera sohna haraam
Muntashir hain khayalaat ki waadiyaan
lut gaya hai sukoon waaliye do jahaan
Rehem farma de ab teri ummat hain hum
Rab salaamat rakhe tera sohna haraam
Mere haathon main kaasa hai umeed ka
Hoon bhikaari Shaha main teri deed ka
Main gadaaye haraam too Nabi Mohtaram
Rab salaamat rakhe tera sohna haraam
Kis ko jaakar kahein Taajdaare haraam
Ghera daale hue hain zamane ke gham
Door ho jaaye gham Ya Nabi mohtasham
Rab salaamat rakhe tera sohna haraam
Tere yaadon maa’moor seena rahe
Saamne mere tera Madina rahe
Dar pe baitha rahoon leke main chashme nam
Rab salaamat rakhe tera sohna haraam
Ya Nabi apni ulfat ki saugaat de
Apni shayane shaan hum ko khairaat de
Is se matlab nahi hai siwaa ho ke kam
Rab salaamat rakhe tera sohna haraam
Haazri ho Niyazi ki darbaar mein
Umr guzre yoonhi tere azkaar me
Aate jaate rahe teri chaukhat pe hum
Rab salamat rakhe tera sohna haraam