Jobano(n) par hai bahare chaman aaraaiye dost
Khuld ka naam na le bulbule shadaaiye dost
Thak ke baithe to dare dil pe tamannaiye dost
Kaun se ghar ka ujaala nahi zaibaaiye dost
Arsaye hashr kuja mauqife Mahmood kuja
Saaz hungamo(n) se rakhti nahi(n) yaktaaiye dost
Mehr kis munh se jilau daariye jaana(n) karta
Saaye ke naam se bezaar hai yaktaaiye dost
Marne waalo ko yaha(n) milti hai umre javed
Zinda chchodegi kisi ko na masihaaiye dost
Unko yakta kiya aur khalq banayi ya’ni
Anjuman karke tamaasha kare tanhaaiye dost
Kaa’ba wa Arsh mein kohraam hai naakaami ka
Aah kis bazm me hain jalwaye yaktaaiye dost
Husne be parda ke parde ne mita rakkha hai
Dhoonde jaaye(n) kaha(n) jalwaye harjaaiye dost
Shauq roke na ruke paao uthaye na uthe
Kaisi mushkil mein hain Allah tamannaaiye dost
Sharm se jhukti hai mehraab ki saajid hain Huzoor
Sajda karwati hai kaa’be se jabee(n) saaiye dost
Taajwalo ka yaha khaak me maatha dekha
Saare daaraao(n) ki daaraa huyi daaraaiye dost
Toor par koi, koi charkh pe ye arsh se paar
Saare baalaao pe baala rahi baalaiye dost
Anta feehim ne adu ko bhi liya daaman mein
Aishe javed mubarak tujhe shaidaaiye dost
Ranje aa’da ka Raza chaara hi kya hai jab unhe
Aap gustaakh rakhe hilmo shikaibaaiye dost