Bandah qaadir ka bhi qaadir bhi hay Abdul Qaadir,
Sir-e-baatin bhi hay zaahir bhi hay Abdul Qaadir.
Mufti-e-shar’a bhi hay qaazi-e-millat bhi hay,
Ilm-e-asraar sey maahir bhi hay Abdul Qaadir.
Manba’a faiz bhi hay majma’a afdaal bhi hay,
Meher-e-irfaan ka munnawar bhi hay Abdul Qaadir.
Qutb-e-abdaal bhi hay mehwer -e-irshaad bhi hay,
Markaze daairah-e-sir bhi hay Abdul Qaadir.
Salak-e-irfaan ki ziya hay yahi dur-e-mukhtaar,
Fakhr-e-ashbaah-wa-nazair bhi hay Abdul Qaadir.
Us key farmaan hain sab shaareh hukm-e-shaare’,
Mazhare naa hi-o-aamir bhi hay Abdul Qaadir.
Zee tasarruf bhi hay maazoon bhi mukhtar bhi hay,
Kaar-e-aalam ka muddabir bhi hay Abdul Qaadir.
Rashk-e-bulbul hay RAZA laala-e-sad daagh bhi hay,
Aap ka waasif-o-zaakir bhi hay Abdul Qaadir.