Bheeni Suhani Subh Me Thandak Jigar Ki Hai
Kaliyaan Khili Dilo Ki Hawa Ye Kidhar Ki Hai

Khubti Huwi Nazar Mei Adaa Kis Sahar Ki Hai
Chubhti Huwi Jigar Mei Sadaa Kis Gajar Ki Hai

Daaley Hari Hari Hai To Baaley Bhari Bhari
Kishte Amal Pari Hai Ye Barish Kidhar Ki Hai

Hum Jaye Aur Qadam Se Lipat Kar Haram Kahey
Sounpa Khuda Ko Ye Azmat Kis Safar Ki Hai

Hum Girdey Kaaba Phirte They Kal Tak Aur Aaj Wooh
Hum Par Nisaar Hai Ye Iradat Kidh’ar Ki Hai

Kalik Jabeen Ki Sajdaaye Dar Se Chudaavogey
Mujh Ko Bhi Le Chalo Ye Tamanna Hajar Ki Hai

Dooba Huwa Hai Shouq Mei Zam Zam Aur Aankh Se
Jhaale Baras Rahey Hai Ye Hasrat Kidhar Ki Hai

Barsa Ke Jaane Walo Pa Ghouhar Karu Nisaar
Abrey Karam Se Arz Ye Mizaabey Zar Ki Hai

Aagooshe Shouq Kholey Hai Jin Ke Liye Hateem
Woh Phir Ke Dekhte Nahi Ye Dhun Kidhar Ki Hai

Haa’n Haa’n Rahey Madina Hai Ghafil Zara Tu Jaag
Wo Paav Rakhne Waley Ye Jaa Chashmo Sar Ki Hai

Waaru Qadam Qadam Pa Kay Har Dam Hai Jaane Nao
Ye Raahey Jaan Fiza Mere Moula Ke Dar Ki Hai

Ghadiya Gini Hai Barso Ke Ye Shubh Ghadi Phiri
Marmar Ke Phir Ye Sil Mere Seene Se Sar Ki Hai

Allaho Akbar Apne Qadam Aur Ye Khaakey Pak
Hasrat Malai’ka Ko Jahaan Waz’ye Sar Ki Hai

Mea’raj Ka Sama Hai Kaha Pahonchey Zae’roo
Kursi Se Onchi Kursi Usi Pak Ghar Ki Hai

Ushhaq Rouza Sajdey Mei Suye Haram Jhukey
Allah Jaanta Hai Ke Niyyat Kidhar Ki Hai

Ye Ghar Ye Dar Hai Uska Jo Ghar Dar Se Paak Hai
Muzhdah Ho Be-Gharo Kay Salaa Achchey Ghar Ki Hai

Mehboobe Rabbe Arsh Hai Is Sabz Qubba Mei
Pahlu Mei Jalwa Gah Ateeqo Umar Ki Hai

Chaye Malaika Hai Lagaatar Hai Durood
Badley Hai Pahrey Badli Mei Barish Durar Ki Hai

Sa’dayn Ka Qiraan Hai Pahluye Maah Mei
Jhurmut Kiye Hai Taarey Tajalli Qamar Ki Hai

Sattar Hazaar Subh Mei Sattar Hazaar Shaam
Yun Bandagiye Zulfo Rukh Aatho Pahar Ki Hai

Jo Ek Baar Aye Dobara Na Ayenge
Rukhsat Hi Bargah Se Bas Is Qadar Ki Hai

Tadpa Karey Badal Ke Phir Aana Kaha Naseeb
Bey Hukm Kab Majaal Parinde Ko Par Ki Hai

Ay Waye Beikasiye Tammana Ke Ab Ummeed
Din Ko Na Shaam Ki Hai Na Shab Ko Sahar Ki Hai

Ye Badliyan Na Ho To Karooron Ki Aas Jaye
Aur Bargaahe Marhamate Aaam Tar Ki Hai

Masoom Ko Hai Umr Mei Sirf Ek Bar Bar
Aasi Padey Rahe To Sila Umr Bhar Ki Hai

Zinda Rahe To Haazriye Baargaah Naseeb
Mar Jaye To Hayaate Abad Aysh Ghar Ki Hai

Moflis Aur Aisey Dar Se Phirey Be-Ghani Huve
Chandi Har Ek Tarah To Yaha Gadiya Gar Ki Hai

Jaana Pe Takiya Khaak Nihali Hai Dil Nihaal
Han Be-Nawa’o Khoob Ye Sorat Guzar Ki Hai

Hai Chatro Takht Saya-E Dewaaro Khaake Dar
Shaho Ko Kab Naseeb Ye Dhaj Karro Far Ki Hai

Iss Paak Ku Mei Khaak Ye Basar Sar-Ba-Khaak Hai
Samjhe Hai Kuch Yahi Jo Haqiqat Basar Ki Hai

Kyo Taajdaaro! Khwaab Mei Dheki Kabi Ye Shai
Jo Aaj Jholiyo Mei Gadhayaane Dar Ki Hai

Jaaru-Kasho Mei Chehre Likhey Hai Mulook Ke
Wo Bhi Kaha Naseeb Faqat Naam Bhar Ki Hai

Taiba Mei Mar Ke Thande Chaley Jaav Aankhey Bandh
Seedhi Sadak Ye Shahre Shafa’t Nagar Ki Hai

Aasi Bhi Hai Chahitey Ye Taiba Hai Zahido!
Makka Nahi Ke Jaanch Jaha Khair O Shar Ki Hai

Shaane Jamaal Taiba Jana Hai Naf’a Mahaz
Wus’at Jalale Makka Mei Soodo Zar Ki Hai

Kaba Hai Beshak Anjum-Aara Dulhan Magar
Saari Bahar Dhulhano Mei Dulha Ke Ghar Ki Hai

Kaba Dhulhan Hai Turbate At-Har Nayi Dulhan
Ye Rashk E Aftaab Wo Gairat Qamar Ki Hai

Dono Bani Sajeeli Aneeli Bani Magar
Jo Pe’ Ke Paas Hai Wo Suhagan Kun’war Ki Hai

Sar Sabze Wasl Ye Hai Siyaa Poshey Hijr Wo
Chamki Dupatto Se Hai Jo Haalat Jigar Ki Hai

Ma Wo Shuma To Kya Ke Khaleel E Jaleel Ko
Kal Dhekna Ki Unse Tamanna Nazar Ki Hai

Apna Sharaf Dua Se Hai Baaki Raha Kabool
Ye Jaane Unke Haath Mei Kunji Asar Ki Hai

Jo Chahey Unse Maang Ki Dono Jahaa’n Ki Khair
Zar Na-Khareeda Ek Kaneez Unke Ghar Ki Hai

Roomi Ghulam Din Habshi Baandiyan Shab’e
Ginti Kaneez Zaado Mei Shaamo Sahar Ki Hai

Itna Ajab Bulandiye Jannat Pe Kisliye
Dekha Nahi Ke Bheek Ye Kis Unchey Ghar Ki Hai

Arshe Bari Pe Kyo Na Ho Firdous Ka Dimaagh
Utri Huvi Shabeeh Tere Baamo Dar Ki Hai

Wo Khuld Jismei Utregi Abrar Ki Baraat
Adna Nichawar Uss Mere Dulha Ke Sar Ki Hai

Amber Zameen Abeer Huwa Mushke-Tar Gubaar
Adna Si Ye Shanaakhat Teri Rahguzar Ki Hai

Sarkaar Hum Gawaro Mei Tarze Adab Kaha
Humko To Bas Tameez Yahi Bheek Bhar Ki Hai

Maangenge Maange Jayenge Muh Maangi Payenge
Sarkar Mei Na Laa Hai Na Hajat Agar Ki Hai

Uff Be-Hayayi’aa Ke Ye Muh Aur Tere Huzoor
Ha Tu Kareem Hai Teri Khu’ Dar Guzar Ki Hai

Tujh Se Chupau Muh To Karu Kiske Saamne
Kya Aur Bhi Kisi Se Tawaqqo Nazar Ki Hai

Jaavu Kaha Pukaru Kisey Kiska Muh Taku
Kia Pursish Aur Ja’ Bhi Sagey Be-Hunar Ki Hai

Baab E At’a To Ye Hai Jo Bahka Idhar Udhar
Kaisi Kharaabi Uss Nagharey Dar-Ba-Dar Ki Hai

Aabad Ek Dar Hai Tera Aur Tere Siwa
Jo Baargah Dekhiye Ghairat Khandar Ki Hai

Lub Wa Hai Aankhey Bandh Hai Phayli Hai Jholiya
Kitne Maaze Ki Bheek Tere Paak Dar Ki Hai

Ghera Andheriyo Ne Duh’ee Hai Chand Ki
Tanha Hu Kaali Raat Hai Manzil Khatar Ki Hai

Kismat Mei Laakh Pech Ho Sau Bal Hazaar Kaj
Ye Saari Ghutthi Ik Teri Seedhi Nazar Ki Hai

Aisi Bandhi Naseeb Khule Mushkiley Khuli
Dono Jaha Mei Dhoom Tumhari Kamar Ki Hai

Jannat Na Dey Na Dey Teri Ruyat Ho Khair Se
Is Ghul Ke Aagey Kisko Hawas Bargho Bar Ki Hai

Sharbat Na Dey Na Dey To Karey Baat Lutf Se
Ye Shahad Ho To Phir Kise Parwa Shakar Ki Hai

Mai Khana-Zaad Kohna Hu Surat Likhi Huwi
Bando Kaneezo Mei Mere Madar Pedar Ki Hai

Mangta Ka Haath Uth-Te Hi Daata Ki Dayn Thi
Doori Qubool O Arz Mei Bas Haath Bhar Ki Hai

Sanki Wo Dekh Baad’e Shafat Ki De Hawa
Ye Aabru Raza Tere Damaan E Tar Ki Hai

Related

Menu