Zairo paas-e-adab rakhho hawas jaane do
Aankhein andhi huwi hain unnko taras jaane do
Sookhi jaati hay ummeed-e-gurba ki kheti
Boondiya lakka-e-rehmat ki barras jaane do
Palti aati hay abhi wajd mein jaane sheereen
Naghma-e-qum ka zara kaano mein ras jaane do
Hum bhi chaltay hay zara kaafile waalo thehro
Gathriyaan tosh-e-ummeed ki kas jaane do
Deed-e-gul aur bhi karti hay qiyamat dil par
Hum-safeero humein phir sue qafas jaane do
Aatish-e-dil bhi to bharkaawo adab waa(n) naalo
Kaun kehta hay ki tum zabte nafs jaane do
yoon tane zaar key dar pe huwe dil key sho’lo
Shewa-e-khaanah bar andaziye khas jaane do
Aay RAZA aah ki yoon sahl katein jurm key saal
Do ghari ki bhi ibadat to baras jaane do