Naare dozakh ko chaman kar de bahare aariz
Zulmate hashr ko din kar de nahare aariz
Main to kya cheez hoon khud sahibe Qur’an ko shaha
Laakh mushaf se pasand aayi bahare aariz
Jaise Qur’an hai wird use gule Mehboobi ka
Yun hi Qur’aa(n) ka wazifa ha waqare aariz
Garche Qur’aa(n) hai na Qur’aa(n) ki barabar lekin
Kuch to hai jis pe hai woh madha nigaare aariz
Toor kya arsh jale dekh ke woh jalwaye garm
Aap aariz ho magar aainaye daare aariz
Turfa aalam hai woh Qur’an idhar dekhe(n) udhar
Mushafe paak ho hairane bahare aariz
Tarjama hai ye sifat ka woh khud aainaye zaat
Kyun na mushaf se zyada ho waqare aariz
Jalwa farmaye(n) rukhe dil ki siyahi mit jaye
Subha ho jaaye ilahi shabe taare aariz
Naame haq par kare mehboob dilo jaa(n) qurbaa(n)
Haq kare arsh se ta farsh nisaare aariz
Mushk bu zulf se rukh chehre se baalo(n) mein shu-aa’
Mo’jiza hai halabe zulfo tataare aariz
Haq ne bakhsha hai karam nazre gadaya(n) ho qabool
Pyare ik dil hai woh karte hain nisaare aariz
Aah be mayagiye dil ki Raza-e- mohtaj
Le kar ik jaan chala bahre nisaare aariz