Zahe Izzato Aetala-E Muhammad
Ke Hai Arsh E Haq Zere Paa-E Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم

Makaa(n) Arsh Unka Falak Farsh Unka
Malak Khaadimane Sara-E Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم

Khuda Ki Raza Chahte Hai Do Aalam
Khuda Chahta Hai Raza-E Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم

Ajab Kya Agar Raham Farma Le Hum Par
Khuda-E Muhammad Baraa-E Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم

Muhammad Baraa-E Janaab E Ilahi
Janaab e Ilahi Baraa-E Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم

Basi Itre Mahboobi-E Kibriya Se
A-baye Muhammad Kabaa-E Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم

baham Ahad Bandhe Hai Wasl E Abad Ka
Raza-E Khuda Aur Raza-E Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم

Dame Naz’a Jaari Ho Meri Zabaa(n) Par
Muhammad Muhammad khuda-E Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم

Asaa-E Kaleem Azdahaye Ghazab Tha
Giro(n) Ka Sahara Asaa-E Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم

Main Kurbaan Kya Pyari Pyari Hai Nisbat
Ye Aan-E Khuda Wo Khuda-E Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم

Muhammad ka damm Khaas Bahre Khuda Hai
Siwaye Muhammad Bara-E Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم

Khuda Unko Kis Pyar Se dekhta Hai
Jo Aankhei(n) Hai Mahve Lika-E Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم

Zulu Me Ijabat Khawasi Me Rehmat
Badhi Kis Tuzuk Se Dua-E Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم

Izabat Ne Jhuk Kar Gale Se Lagaya
Badhi Naaz Se Jab Dua-E Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم

Izabat Ka Sehra Inayat Ka Joda
Dulhan Banke Nikli Dua-E Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم

Raza Pul Se Ab Wajd Karte Guzariye
Ki Hai Rabbe Sallim Sada-E Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم

Related

Menu