Wah Kya Joodo Karam Hay Shahe Bat-Ha Tera
Nahi Sunta Hi Nahi Maangne Waala Tera
Dhaare Chalte Hain Ataa Ke Wo Hain Qatra Tera
Tare Khilte Hain Sakhaa Ke Wo Hay Zar-ra Tera
Faiz Hay Ya Shahe Tasneem Nirala Tera
Aap Pyaso Ke Tajas-sus Me Hay Dariya Tera
Agniyan Palte Hain Dar Se Wo Hay Bada Tera
Asfiya Chalte Hain Sar Se Wo Hay Rasta Tera
Farsh Waale Teri Shaukat Ka Uloo Kya Jaanen
Khusrawa Arsh Pe Urta Hay Phareraa Tera
Aasmaan Khwan, Zameen Khwan Zamana Mehmaan
Sahibe Khana Laqab Kiska Hay Teraa Teraa
Main To Maalik Hi Kahoonga Ke Ho Maalik Ke Habeeb
Ya’ani Mahboob o Muhib Me Nahi Mera Tera
Tere Qadmoun Me Jo Hain Ghair Ka Muh Kya Dekhein
Kon Nazroun Pe Charhe Dekh Ke Talwaa Tera
Bahre Saail Ka Hun, Sail Na Kuwein Ka Pyasa
Khud Bujha Jaye Kaleja Mera Cheenta Teraa
Chor Haakim Se Chupa Karta Hain Yaan Uske Khilaaf
Tere Daaman Me Chupe Chor Anokha Teraa
Aankhein Thandi Ho Jigar Taze Ho Jaan-e-Sairaab
Sachhe Suraj Wo Dil-Aara Hai Ujala Tera
Aik Main Kya Mere Is yaan Ki Haqeeqat Kitni
Mujhse Sau Laakh Ko Kaafi Hay Isharaa Tera
Muft Paala Tha Kabhi Kaam Ki Aadat Na Paree
Ab Amal Poochte Hain Haaye Nikamma Teraa
Tere Tukro Se Pale Ghair Ki Thokar Pe Na Daal
Jhirkiyaan Khaayein Kahan Chor Ke Sadqa Tera
Khwar o Bimar o Khatavar o Gunahgaar Hun Main
Rafe’a o Nafe’a o Shafe’a Lakab Aaqa Teraa
Meri Taqdeer Buri Ho To Bhalee Kardey Ke Hay
Mahwo Isbaat Ke Daftar Me Karora Tera
Tu Jo Chahe To Abhi Mayl Merey Dil Ke Dhulein
Ke Khuda Dil Nahi Karta Kabhi Mayla Tera
Kiska Muh Takiye Kaha Jaiye Kis Se Kahiye
Tere Hi Qadmoun Pe Mitt Jaye Yeh Paala Tera
Tu Ne Islam Diya Tu Ne Jama’at Me Liya
Tu Kareem Ab Koi Phirta Hain Atiyya Tera
Maut Sunta Hun Sitam Talkh Hain Zahraa ba-e Nab
Kaun La De Mujhe Talwo Ka Ghusala Tera
Dur Kya Janiye Bad-kaar Pe Kaise Guzre
Tere Hi Dar Pe Mare Be-kaso Tanha Tera
Tere Sadqe Mujhe Ik Boond Bohat Hay Teri
Jis Din Achho Ko Milay Jaam Chalakta Tera
Haram-O-Taibah Wa Baghdad Jidhar Kije Nigah
Jyot Parti Hay Teri Noor Hay Chanta Tera
Teri Sarkaar Me Laata Hay Raza Usko Shafee
Jo Mera Ghous Hay Aur Laadla Beta Teraa