Hadaiq e Bakhshish

Subh Taiba Me Huwi Bat’ta Hai Baara Noor Ka

Subh Taiba Me Huwi Bat’ta Hai Baara Noor Ka
Sadqa Lene Noor Ka Aaya Hai Taara Noor Ka

Baagh e Taiba Me Suhaana Phool Phoola Noor Ka
Mast e Boo Haiñ Bulbuleñ Parhti Haiñ Kalma Noor Ka

Baarhweeñ Ke Chaand Ka Mujra Hai Sajdah Noor Ka
Baara Burjoñ Se Jhuka Aik Ek Sitaara Noor Ka

Un Ke Qasr e Qadr Se Khuld Aik Kamra Noor Ka
Sidra Paa-eñ Baagh Me Nan’ha Sa Pawda Noor Ka

Arsh Bhi Firdaus Bhi Us Shaah e Waala Noor Ka
Ye Mutham’man Burj, Wo Mushku e A’laa Noor Ka

Aayi Bid’at Chaayi Zulmat Rang Badla Noor Ka
Maah e Sunnat Mahr e Tal’at Le-Le Badla Noor Ka

Tere Hee Maathe Raha Ay Jaan e Sehra Noor Ka
Bakht Jaaga Noor Ka Chamka Sitaara Noor Ka

Maiñ Gada Tu Baadsha Bhar De Pyaala Noor Ka
Noor Din Doona Tera De ‘Daal Sadqa Noor Ka

Teri Hee Jaanib Hai Paanchoñ Waqt Sajda Noor Ka
Rukh Hai Qibla Noor Ka Abru Hai Kaa’ba Noor Ka

Pusht Par ‘Dhalka Sar e Anwar Se Shamla Noor Ka
Dekheñ Moosa Toor Se Utra Sahifa Noor Ka

Taaj Waale Dekh Kar Tera ‘Imaama Noor Ka
Sar Jhukaate Haiñ Ilaahi Bol Baala Noor Ka

Beeni e Pur Noor Par Rakhshaañ Hai Buk’kah Noor Ka
Hai Liwa ul Hamd Par Ur’ta Pharera Noor Ka

Mushaf e ‘Aariz Pe Hai Khat’t’ e Shafee’ah Noor Ka
Lo Siyaah-Kaaro Mubaarak Ho Qabaalah Noor Ka

Aab e Zar Banta Hai ‘Aariz Par Paseena Noor Ka
Mushaf e E’jaaz Par Charhta Hai Sona Noor Ka

Pech Karta Hai Fida Hone Ko Lam’ah Noor Ka
Gird e Sar Phirne Ko Banta Hai ‘Imaama Noor Ka

Haybat e ’Aariz Se Thar’raata Hai Sho’la Noor Ka
Kafsh e Paa Par Gir Ke Ban Jaata Hai Gup’pha Noor Ka

Sham’a Dil, Mishkaat Tan, Seena Zujaaja Noor Ka
Teri Soorat Ke Liye Aaya Hai Surah Noor Ka

Meyl Se Kis Darja Suthra Hai Wo Putla Noor Ka
Hai Galay Me Aaj Tak Kora Hee Kurta Noor Ka

Tere Aage Khaak Par Jhukta Hai Maatha Noor Ka
Noor Ne Paaya Tere Sajde Se Seema Noor Ka

Tu Hai Saaya Noor Ka Har Uzw Tukra Noor Ka
Saaya Ka Saaya Na Hota Hai Na Saaya Noor Ka

Kya Bana Naam e Khuda Asra Ka Dulha Noor Ka
Sar Pe Sehra Noor Ka Bar Me Shahaana Noor Ka

Bazm e Wahdat Me Maza Hoga Do-Baala Noor Ka
Milne Sham e Toor Se Jaata Hai Ik’ka Noor Ka

Wasf e Rukh Me Gaati Haiñ Hooreñ Taraana Noor Ka
Qudrati Beenoñ Me Kya Bajta Hai Lehra Noor Ka

Ye Kitaab e Kun Me Aaya Turfa Aayah Noor Ka
Ghair e Qaa-il Kuch Na Samjha Ko-ee Maa’na Noor Ka

Dekhne Waaloñ Ne Kuch Dekha Na Bhaala Noor Ka
‘Man Ra-Aa’ Kaisa Ye Aa-ina Dikhaaya Noor Ka

Subh Kar Di Kufr Ki Sach’cha Tha Muzhda Noor Ka
Shaam Hee Se Tha Shab e Teerah Ko Dhar’ka Noor Ka

Parti Hai Noori Bharan Umdah Hai Darya Noor Ka
Sar Jhuka Ay Kisht e Kufr Aataa Hai Ahla Noor Ka

Naariyoñ Ka Daur Tha Dil Jal Raha Tha Noor Ka
Tum Ko Dekha Ho Gaya Thanda Kaleja Noor Ka

Naskh Adyaañ Kar Ke Khud Qabza Bit’haaya Noor Ka
Taajwar Ne Kar Liya Kach’cha ‘Ilaaqa Noor Ka

Jo Gada Dekho Liye Jaata Hai Tor’a Noor Ka
Noor Ki Sarkaar Hai Kya Is Me Tor’a Noor Ka

Bheek Le Sarkaar Se Laa Jald Kaasah Noor Ka
Maah e Naw Taiba Me Bat’ta Hai Maheena Noor Ka

Dekh Unke Hote Na Zaiba Hai Da’wa Noor Ka
Mahr Likh De Yaañ Ke Zar’roñ Ko Muchalka Noor Ka

Yaañ Bhi Daagh e Sajda e Taiba Hai Tamgha Noor Ka
Ay Qamar Kya Tere Hee Maathe Hai Teeka Noor Ka

Sham’a Shaañ Aik-Aik Parwaana Hai Is Baa-Noor Ka
Noor e Haq Se Lau Lagaaye Dil Me Rishta Noor Ka

Anjuman Waale Haiñ Anjum Bazm e Halqa Noor Ka
Chaand Par Taaroñ Ke Jhurmut Se Hai Haala Noor Ka

Teri Nasl e Paak Me Hai Bach’cha-Bach’cha Noor Ka
Tu Hai ‘Ain e Noor Tera Sab Gharaana Noor Ka

Noor Ki Sarkaar Se Paaya Doshaala Noor Ka
Ho Mubaarak Tum Ko Zun-Noorain Jor’a Noor Ka

Kis Ke Parde Ne Kiya Aa-ina Andha Noor Ka
Maangta Phirta Hai Aankheñ Har Nageena Noor Ka

Ab Kahaañ Wo Taabisheñ Kaisa Wo Tar’ka Noor Ka
Mahr Ne Ch’hup Kar Kiya Khaasa Dhund-Laka Noor Ka

Tum Muqaabil Thay, To Pehroñ Chaand Bar’hta Noor Ka
Tum Se Ch’hut Kar Munh Nikal Aaya Zara Saa Noor Ka

Qabr e Anwar Kahiye Ya Qasr e Mu’alla Noor Ka
Charkh e At-las Ya Ko-ee Saada Sa Qub’ba Noor Ka

Aankh Mil Sakti Nahiñ Dar Par Hai Pehra Noor Ka
Taab Hai Be-Hukm Par Maare Parinda Noor Ka

Naz’a Me Lau’tega Khaak e Dar Pe Shaida Noor Ka
Mar Ke Or’hegi Uroos e Jaañ Dupat’ta Noor Ka

Taab e Mahr e Hashr Se Chaunke Na Kushta Noor Ka
Boondiyaañ Rahmat Ki Dene Aa-eeñ Cheenta Noor Ka

Waz’ e Waaze’ Me Teri Soorat Hai Maa’na Noor Ka
Yuñ Majaazan Chaaheñ Jis Ko Keh Deñ Kalma Noor Ka

Ambia Ajza Haiñ Tu Bilkul Hai Jumla Noor Ka
Is ‘Ilaaqe Se Hai Un Par Naam Sach’cha Noor Ka

Ye Jo Mahr o Mah Pe Itlaaq Aata Noor Ka
Bheek Tere Naam Ki Hai Isti’aarah Noor Ka

Surmageeñ Aankheñ Hareem e Haq Ke Wo Mushkeeñ Ghazaal
Hai Faza e Laa Makaañ Tak Jin Ka Ramna Noor Ka

Taab e Husn e Garm Se Khil Jaayenge Dil Ke Kañwal
Nau Bahaareñ Laayega Garmi Ka Jhalka Noor Ka

Zar’r e Mahr e Quds Tak Tere Tawassut Se Gaye
Had’d e Awsat Ne Kiya Sughra Ko Kubra Noor Ka

Sabza e Gardooñ Jhuka Tha Behr e Paa Bos e Buraaq
Phir Na Seedha Ho Saka Khaaya Wo Kor’a Noor Ka

Taab e Sum Se Chaundhiya Kar Chaand Unheeñ Qadmoñ Phira
Hañs Ke Bijli Ne Kaha Dekha Chalaawa Noor Ka

Deed e Naqsh e Sum Ko Nikli Saat Pardoñ Se Nigaah
Putliyaañ Boleñ Chalo Aaya Tamaasha Noor Ka

Aks e Sum Ne Chaand Sooraj Ko Lagaaye Chaar Chaand
Par Gaya Seem o Zar e Gardooñ Pe Sik’kah Noor Ka

Chaand Jhuk Jaata Jidhar Ungli Ut’haate Mahd Me
Kya Hee Chalta Tha Ishaaroñ Par Khilona Noor Ka

Aik Seena Tak Mushaabah Ek Wahaañ Se Paa-oñ Tak
Husn e Sibtain Un Ke Jaamoñ Me Hai Neema Noor Ka

Saaf Shakl e Paak Hai Donoñ Ke Milne Se ‘Iyaañ
Khat Taw-am Me Likha Hai Ye Do Warqah Noor Ka

Kaaf Gaisoo, Haa Dahan, Yaa Abru, Aankheñ ‘Ain-Saad
Kaaf Haa Yaa ‘Ain-Saad Unka Hai Chehra Noor Ka

Ay RAZA Ye Ahmad e Noori Ka Faiz e Noor Hai
Ho Gayi Meri Ghazal Bar’h Kar Qasida Noor Ka

Views: 5
keyboard_arrow_up