Hadaiq e Bakhshish

Rukh Din Hai Ya Mehre Sama Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi

Rukh Din Hai Ya Mehre Sama, Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi
Shab Zulf Ya Mushke Khuta, Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi

Mumkin Me Ye Qudrat Kaha, Wajib Me Abdiyat Kaha
Hairan Hu Ye Bhi Hai Khata, Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi

Haq Ye Ki Hai Abde Ilah Aur Alam E Imkan Ke Shah
Barzakh Hai Wo Sirre Khuda, Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi

Bulbul Ne Ghul Unko Kaha, Kumree Ne Sarve Janfiza
Hairat Ne Jhunjhla Kar Kaha Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi

Khursheed Tha Kis Zour Par Kya Badh Ke Chamka Tha Qamar
Be-Parda Jab Wo Rukh Hua Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi

Dar Tha Ki Isyan Ki Saza Ab Hogi Ya Rouze Jaza
Dee Unki Rehmat Ne Sada Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi

Koyi Hai Nazo Zuhad Par Ya Husne Tauba Hai Sipar
Yan Hai Faqat Teri Ata Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi

Din Lahv Me Khona Tujhe, Shab Subha Tak Sona Tujhe
Sharme Nabi Khaufe Khuda Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi

Rizq E Khuda Khaya Kiya, Farman E Haq Tala Kiya
Shukre Karam Tarse Saza Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi

Hai Bulbule Rangi Raza Ya Tutiye Nagma Sara
Haq Yeh Ki Wasif Hai Tera Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi

رُخ دن ہے یا مہرِ سَما یہ بھی نہیں وہ بھی نہیں
شب زُلف یا مُشکِ ختا یہ بھی نہیں وہ بھی نہیں

ممکن میں یہ قدرت کہاں واجب میں عبدیت کہاں
حیراں ہوں یہ بھی ہے خطا یہ بھی نہیں وہ بھی نہیں

حق یہ کہ ہیں عبدِ الٰہ اور عالمِ امکاں کے شاہ
برزخ ہیں وہ سِّرِ خدا یہ بھی نہیں وہ بھی نہیں

بُلبل نے گُل اُن کو کہا قُمری نے سروِ جانفزا
حیرت نے جھنجھلا کر کہا یہ بھی نہیں وہ بھی نہیں

خورشید تھا کس زور پر کیا بڑھ کے چمکا تھا قمر
بے پردہ جب وہ رُخ ہوا یہ بھی نہیں وہ بھی نہیں

ڈر تھا کہ عصیاں کی سزا اب ہو گی یا روزِ جزا
دی اُن کی رحمت نے صدا یہ بھی نہیں وہ بھی نہیں

کوئی ہے نازاں زُہد پر یا حسنِ توبہ ہے سِپر
یاں ہے فقط تیری عطا یہ بھی نہیں وہ بھی نہیں

دن لَہْو میں کھونا تجھے شب صبح تک سونا تجھے
شرمِ نبی خوفِ خدا یہ بھی نہیں وہ بھی نہیں

رزقِ خدا کھایا کیا فرمانِ حق ٹالا کیا
شکرِ کرم ترسِ سزا یہ بھی نہیں وہ بھی نہیں

ہے بلبُل رنگیں رضاؔ یا طُوطی نغمَہ سرا
حق یہ کہ واصِف ہے تِرا یہ بھی نہیں وہ بھی نہیں

Views: 516
keyboard_arrow_up