Ghum Ho Gaye Beshumar Aaqa
Banda Tere Nisaar Aaqa

Bigda Jaata Hai khel mera
Aaqa Aaqa Savaar Aaqa

Manjdhaar Pe Aake Naav Tuti
De Haath Ki Hu Main Paar Aaqa

Tuti Jati Hain Peeth meri
Lillah Ye Bojh Utaar Aaqa

Halka Hai Agar Hamara Palla
Bhari Hain Tera Waqar Aaqa

Majboor Hain Hum To Fikr Kya Hai
Tumko To Hain Ikhtiyar Aaqa

Main Duur Hu Tum To Ho Mere Paas
Sun Lo Meri Pukaar Aaqa

Mujhsa Koi Ghumzada Na Hoga
Tumsa Nahi Ghumgusar Aaqa

Girdaab Me Pad Gayi Hai Kashti
Duba Duba Utaar Aaqa

Tum Wo Ki Karam Ko Naaz Tumse
Main Wo Ke Badee Ko Aar Aaqa

Fir Muh Na Pade Kabhi Khiza Ka
De De Aisi Bahaar Aaqa

Jiski Marzi Khuda Na Taale
Mera Hai Wo Naamdar Aaqa

Hain Mulke Khuda Pe Jiska Qabza
Mera Hain Wo Kaamgar Aaqa

Soya Kiye Naabkaar Bande
Roya Kiye Zaar Zaar Aaqa

Kya Bhul Hai Unke Hote Kahlaye
Duniya Ke Ye Tajdaar Aaqa

Unke Adna Gada Pe Mit Jaye
Aise Aise Hazaar Aaqa

Be-abre Karam Ke Mere Dhabbe
La Tagsiluhal-bihar Aaqa

Itni Rehmat Raza Pe Kar Lo
La Yakrubuhul Bawaar Aaqa

Related

Menu