Sunte hain ki mehshar mein sirf unki rasai hai
Gar unki rasaaee hai lo jab to ban aayi hai

Machla hai ki rehmat ne ummeed bandhai hai
Kya baat teri mujrim kya baat banai hai

Sab ne safe mehshar mein lalkaar diya hum ko
Aye bekason ke Aaqa ab teri duhai hai

Yun to sab unhi ka hai par dil ki agar poocho
Yeh toote hue dil hi khaas unki kamai hai

Zaair gaye bhi kab ke din dhalne pe hai pyaare
Uth mere akele chal kya der lagaaee hai

Baazare amal mein toh sauda na bana apna
Sarkar karam tujh mein aibee ki samai hai

Girte huwo ko muzda sajde mein gire Maula
Ro Ro ke shafa’at ki tamheed uthai hai

Aye dil yeh sulagna kya jalna hai to jal bhi uth
Dum ghutne laga zaalim kya dhooni ramai hai

Mujrim ko na sharmao ahbaab kafan dhak do
Muh dekh ke kya hoga parde mein bhalai hai

Ab aap hi sambhalein toh kaam apne sambhal jaayein
Humne to kamai sab khelon mein ganwai hai

Aye ishq tere sadqe jalne se choote saste
Joh aag bujha degi woh aag lagai hai

Hirso hawase bad se dil tu bhi sitam kar le
Tu hi nahi begana dunya hi parai hai

Hum dil jale hain kiske haat fitnon ke parkaale
Kyun foonk du ik uf se kya aag lagai hai

Taiba na sahi Afzal Makkah hi bada zaahid
Hum ishq ke bande hain kyun baat badhai hai

Related

Menu